Thursday, October 2, 2014

Juma mubarak

ASSALAMU ALAIKUM
AAP SAB KO HAKEEM danish chummi waLO KI TARAF SE JUMATIL KHAIR MUBARAK

Kuch Hadith (Hadees) Ki Batein

Mai Shab-E-Mairaj Hazrat Moosa Alehi Salam K Paas Se Guzra Woh Apni Qabar Me Khare Ho Kar Namaz Parh Rahe The.

(Sahih Al-Muslim, Kitab-ul-Fazail, Hadith No 6036)

Be-Shak Allah Ne Zameen Par Haram Kar Diya Ke Woh Ambiya Ke Jismon Ko Khae Pas Allah Ka Har Nabi Zinda Hota Hai Aur Usey Rizq Bhi Diya Jata Hai.

(Sunan-E-Ibn-E-Maja, Page 118, Hadith No 1636)

SARKAR (Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam) Se Abu Darda Radiallahu Anhu Ne Pocha, Wisal-e-zahiri (parda farmane) k bad Aap tak Darood kaise Pohanchay Ga

Aap Sallallaho Alaihe Wasalllam Ne Irshad Farmaya:

“ALLAH Ne Zameen Par Ambiya K Ajsaam Ko Khana Haram Farma Diya Hai, Allah K Nabi Zinda Hote Hai Or Unhe Rizq Bhi Diya Jata Hai”

(Ibn-e- maja, Jild-1 Page-502)

In Hadith Se Ye Sabith Hua K Ambiya Zinda Hai Aur Hamare Aqa Sallallaho Alaihe Wasallam Apni Qabar E Anwar Se Hamara Darood O Salam Sunte Hai...

Ala Hazrat Farmate hai:

Ambiya Ko Bhi Ajal Aani Hai Par Fakat Aani Hai

Jo Murda Kahe Tujko Wo Murda Hai Wallah

Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah

Meri Chashme Aalam Se Chup Jane Wale

Dur O Nazdik K Sunne Wale Wo Kaan,

Kaan E Lal E Karamat Par Lakho Salam...

Hum Yaha Se Pukare Waha Wo Sune,

Mustafa Ki Samaat Par Lakho Salam...

Previous Post
Next Post

About Author

0 comments: