• Kuch Chizen Jo Hum Namaz Me Roz
Padhte Hai Lekin Unka TARJUMA Nahi
Jaante.
* SANA:-
Subhanakallahum ma Wabi hamdika Wa
tabarakasmuka Wat'ala Jadduka
Walaailaha Gairuka.
* TARJUMA:-
Aye ALLAH ! Mai TERI Paaki Bayaan karta hu aur teri taarif karta hu
aur TERA naam
barkatwala hai, buland hai TERI shaan,
aur nahi hai ma'bud TERE siva koi.
* RUKU ME:-
Subhana Rabbiyal Azim
* TARJUMA:-
Paak hai mera Rab Azmat wala.
* RUKU SE UTHTE WAQT:-
SamiAllahu Liman Hamida.
Rabbana Lakal Hamd.
* TARJUMA:-
ALLAH ne uski sunn li jisne uski taarif ki.
Aye hamare Rab, tere hi liye tamaam taarife hai.
* SAJDE ME:-
Subhana Rabbiyal A'ala.
* TARJUMA:-
Paak hai mera Rab, Badi Shaan wala.
Isse khub share karo taki lo nind se bedaar ho jaye
Aapka apna Hakeem Danish
0 comments: